Aakhri Sahara
Ik roz sakhtiiye jaa se bazaar, ik pakhdandi per chalta hoa
mein kaheen door nikal gaya. Sar sabz fiza mein hawa marham ki c maanind,
maseehai k tamam ausaaf se mamoor, apni dilfareb raftaar se chalti aur pattun k
seeney sehlaati hoi bewajeh qarar bakhshti thi. Mein pattun ki band hoti
aankhain daikh raha tha, jo ghash e taskeen se bojhal theen, jese din bhar ki
taweel shokh noomaesh k baad thakan se choor hun.
Apne mathey per parhey baalun ko hata kr mene apni ungliun
ko kuch aise pechida ballun mein lehraya k dhanak k madham hote rang besaakhta
ulajh se gae. Ye daikh kr pattey zra sehm gae aur who sabz shikasta nazrein
jese kisi hijab mein pooshida ho gaeen.
Mujhe khud ka saffaq hona beshaq nagawar guzra lekin chashni
e chashm ki khaahish se majboor, kisi aur haseen iltefaat e fitrat ki talash
mein, mene apni nazr ko kushada maasum aur behad zameen pe dorhaya naheen. Bs
nazr thi k tehelti hoi ek daal se dusri daal aur ek ik manzar se piyas bhujati
rahi. Dil e natwaan se sulaghtey hoe ghao bharne lage. Tabiyat e fitrat ki
shaffafi o shadabi se mene who ghamgusari aur taskeen kashid ki jo koi zee roh
chah kr bhi nahi bakhsh skti. Mein pehrun un asbaab e sukoon se guftagoo krta.
Hawa ki mojun mein mehlool ho kr ‘Hum’ yani mein aur mere khayalat khud ko
zamaney ki besabti se mubarra mehsos mehsos krte. Aur kabhi shokhi o shararat
se bharpoor koi lamha ek aisa ehsas de jata jisey alfaaz mein dhaalney k liye
ek taweel umr darker he.
Kumail Kazmi
Sorry yaar but after reading it, i got a feeling; SAARI RAAT RONDAY RAYE MARYA KOI V NAI.
ReplyDeleteI have two words for you my dear pal, "Think Abstract"
Delete